ISRO Mars Orbiter Mission (Mangalyaan): Facts & Interactive Quiz
ISRO Mars Orbiter Mission (Mangalyaan): Bharat Ka Pehla Mangal Safar
Bharat ka Mars Orbiter Mission (MOM), jise aamtaur par Mangalyaan kaha jata hai, ISRO (Indian Space Research Organisation) ka ek aisa chamatkarik mission tha jise poori duniya hamesha yaad rakhegi. 5 November 2013 ko launch kiya gaya yeh spacecraft 24 September 2014 ko Mars (Mangal Grah) ki kaksha mein safalta-purvak dakhil hua tha.
Mangalyaan Ki Bemisaal Kamyabiya:
- First Attempt Success: Bharat duniya ka sabsay pehla aisa desh bana jisme apne pehli hi prayas (First Attempt) mein Mars par kamyabi haasil ki.
- Sabse Sasta Mission: Is pure mission ka budget lagbhag 450 Crore Rupee ($74 Million) tha. Yeh budget NASA ke Mars missions ke mukable 10 guna kam aur Hollywood film 'Gravity' ke budget se bhi sasta tha.
- Workhorse PSLV: Ise ISRO ke sabse vishwasniya rocket PSLV-XL (C25) ke jariye launch kiya gaya tha.
Mukhya Scientific Uddeshya:
Mangalyaan ka mukhya kaam Mars ke atmosphere ka adhyayan karna tha. Isme lage 5 scientific payloads mein sabsay mahatvapurna Methane Sensor for Mars (MSM) tha, jiska kaam wahan life ke saboot ya Methane gas ko dhoondhna tha.
Mangalyaan (MOM) Interactive Quiz
Upar di gayi jankari ko padhein aur check karein aapko kitna yaad raha!
Mangalyaan ko 5 November 2013 ko Sriharikota se launch kiya gaya tha.
Launch ke lagbhag 10 mahine baad, 24 September 2014 ko yeh Mars ki kaksha mein pahuncha.
Bhaari GSLV ke bajay, ISRO ne apne workhorse rocket PSLV ke upgraded version (XL) se yeh bada kaarnaama kiya tha.
America aur Russia ko bhi shuruat mein kayi baar nakamyabi mili thi, par Bharat pehle hi jhatke mein safal raha.
Sirf 450 Crore ke budget mein ISRO ne yeh interplanetary mission poora kiya, jo poori duniya ke liye ek misaal hai.

Post a Comment